Friday, 5 April 2019

Dedicated to Mumbai Metro

My Metro Story!

Aayi Chaar Dibbo mey
Ek Nayab Sawari,
#Manzil tak pohochati hai
Sabhko bari bari,

Bandh hui ab to meri
Wo "#Dhakko- ki-sawari"!

Sadko par khwab dekhta tha jo
ki kab hawa ki raftaar pakdu,
"#Bheed" jo bimari hai is seher ki
Oos sey kaise bachu?

Aayi fir ek tezi ki bahar
Chhodi mene wo "#Bus-o-wali" qatar.
Meri to hai bas yehi #pookar,
key Din k sapne bhi hote hai saakar!

Chalta hu #Musafir Roz
Apni #Kismat banane,
Ya fir, Bani is kismat pe
Fir ek Daaw lagane.

Milta hu  inse Roz,
Chehre jo aaynese lagte hai,
Dekhta hu khudko inme,
Sareeka #Safar hai,
Bas alag #Kahani mey!

#Samay aur #Sampatti rehte hai mere paas,
Nahi rehta hu mey Mousamose ab #naraz.
Khudke liye ban gaya mey to Khaas!
Bheetar hi hai ye Khooshnumasa Ehsas!

Bas yehi kehta hu mey
Ek mamuli sa #insaan,
#Metro, tu hai ek jiwandaan
Jitna chalu tujhme, ootna hota hai abhimaan,
Metro, tu hi hai is sheher ki shaan!

Featured post

My dear friend

My dear friend, It might occur or not to you, 'you'll change'; eventually, Remember? I told you. Even if I knew this wi...