Thursday, 15 December 2016

HUM


Bahut falsafo se guzri
Ye nayaab zindagi
Kuch rangeen, kuch dilchasp,
Kuch ne dard diya,
Kuch ne muskurana sikhaya.

Mey jis haal me tha,
Us haal me mera humsafar tum thi.

Kuch khwaishe jo poori na ho saki,
Kuch sapne haqiqat bhi bane
Kuch wade jo mukammal na kar paya,
Kuch irade  kaamyab bhi hue

Kuch raaste zindagi ne diye.
Kuch raaste humne chune,
Kuch rishtey zindagi se mile,
Kuch rishtey dil se joode.
  
Kai ootar chadhaw dekhe humne
Har nakamiyaabi me tum mera hosla thi
Har oonchaiyo pe meri taqat 
Har kamzori mey mera sahas,
Aur har rookawato mey mera sahara.

Us kisi mode pe jo mey chala,
Kabhi girtey, kabhi jhukte, kabhi darte,
Oon har mousamo me jinme mera toot jana laazmi tha.
Tumne mera hath na choda
Tumne mera sath na choda

Zindagi ka safar jaari hai
Jisme tum meri humsafar ho.
Mey aaj jo bhi hu, tumse hu.
Aur tuhmise meri kayanat mukammal hai.


BG...


Featured post

My dear friend

My dear friend, It might occur or not to you, 'you'll change'; eventually, Remember? I told you. Even if I knew this wi...